Kam Baaton Ka Safar.. Poem by abhilasha bhatt

Kam Baaton Ka Safar..

Rating: 5.0

Kam baaton ka safar
Kitna chota hota hai
Kam main hi simat kar reh jaati hain
Na koi kona
Na koi sira
Jise pakad kar baatain kam se zyada ka safar tey krsakti hain
Waqt ki bhi to kitni bachat ho jati hain
Waise bhi ajkl waqt kahan hai
Kisi k bhi paas kisi k lie bhi
Kam baatain hi to hain
Kahan phir kisi ka bhi waqt zaaya karain
Islie khudse hi baat krlete hain
Khudse hi waqt lete hain
Khudse hi sawaal krte hain
Aur khudko hi jawaab dete hain
Aur khudki hi baaton par kbhi alpviraam
To kabhi purnaviraam lagadete hain
Kam baaton k safar main
Kisi k bhi baare main kya jan padta hai
Kuch bhi to nhi
Bas naam pata aur kaam
Zyada teh tak baat k kisi bhi
Kahan jaa pate hain
Bas jaante hue bhi anjaane se nazar ate hain
Apne hote hue bhi paraaye se nazar ate hain
Kam baaton ka safar
Na koi baat badaata hai
Na koi baat bigadta hai
Na kisi baat ko paraya krta hai
Na koi shikwa zahir karta hai
Na koi shikayat bayaan krta hai
Kam baaton ka safar
Sirf khamoshi main hi tey hota hai
Tanhai bas is safar ki manzilon ko
Kahin shunya main dhakel deti hain
Bas do pal k kuch do shabd
Aur phir wahi khamoshi
Wahi kisi sathi ko khojti aankhen
Wahi dhundhne main naakami
Wahi mayusi
Wahi sunapan
Wahi tanhaai
Wahi kam baaton ka safar..

Monday, January 25, 2016
Topic(s) of this poem: life,loneliness,silence,talk
COMMENTS OF THE POEM
M Asim Nehal 26 January 2016

Wah wah....kya kehna in kam baton ka......Maza aagaya padh kar, , , Loved it.

1 0 Reply
Rajnish Manga 26 January 2016

गंभीर से गंभीर बात को भी आप इतनी सहजता से कह जाते हैं कि पाठक चकित रह जाता है. धन्यवाद, अभिलाषा जी. Kitna chota hota hai / Na koi kona / Na koi sira / Kam baaton ka safar Sirf khamoshi main hi tey hota hai

1 0 Reply
Mithilesh Yadav 26 January 2016

kaam baaton ka safar....... gazab ki kalam ka parichay....

1 0 Reply
Souren Mondal 25 January 2016

'Bas jaante hue bhi anjaane se nazar ate hain Apne hote hue bhi paraaye se nazar ate hain' These lines are simply beautiful. Tumhari jitni kavitaye ab tak mai ne padhi hai, un me ye mujhe shayad sab se zyada chu gayi.. Hum jo thode se 'kavi-typs' hote hai, unke liye sach me bohut mushkil hota hai ke kam baaton se kaam chala le... Bohut hi khoobsurat kavita hai ye Abhilasha.. Sukhriya :)

1 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success