Kavita Ki Varsha Poem by Akhtar Jawad

Kavita Ki Varsha

Rating: 4.9

Ekant yeh kali rajni ka,
Jab naynon ke deep bujhata hay,
Sannata jab cha jata hay,
Koi payel ko chankata hua,
Chupke se aa jata hay,
Koi aa kar geet sunata hay,
Ye kavi abhi tak peyasa hay,
Wuh nainon ki peyas bujhata hay,
Wuh adhron ki peyas bujhata hay,
Aur apne man ki veyakulta ko,
Bahlata hay, samjhata hay,
Aur ghadial phir chillata hay,
Pagal manva ab so ja,
Is ghao ko ab bhar jane de,
Kahin teri jan na le le yeah,
Pagal kiski sunta hay,
Wuh ghao ko apne chedta hay,
Ye phir se risne lagta hay,
Ye rakt se phir mil jata hay,
Di ka panchi kahta hay,
Bahne de ise in dharon mein,
Dhalne de ise tu badal mein,
Amber pe ise ud jane de,
Yeh kavita banker barse ga.

Wednesday, September 2, 2015
Topic(s) of this poem: poetry
COMMENTS OF THE POEM
Kumarmani Mahakul 09 September 2015

A beautiful poem having vibrant depiction. ......10

0 0 Reply
Khalida Bano Ali 02 September 2015

A beautiful well wrote poem..................................10

1 0 Reply
Close
Error Success