Keya Kahoon, Kisse Kahoon, Kayse Kahoon Poem by Akhtar Jawad

Keya Kahoon, Kisse Kahoon, Kayse Kahoon

Rating: 5.0

Koi bhool hui, Keya bhool hui,
Woh mujhse bat nahin karte,
Koi chook hui, Keya chook hui,
Main bol rahi, Woh sunte nahin,
Kutch kahte nahin,
Jate jate jab maine kaha,
Allah Hafiz,
Pehle woh keya keya kahte they,
Pehle woh keyakeya karte they,
Aur aaj to bas itna hi kaha,
Allah Hafiz.
Woh chale gaye, jate jate,
Ek bar bhi mur kar dekha nahin,
Woh aankhen bhi khamosh raheen,
Aur hont to bilkul sakit they,
Bas chale gaye, koi phone bhi ab tak aaya nahin,
Dil daftar mein ghabraya nahin.

Koi bat nahin,
Aysa to aksar hota hay,
Insan hay Woh hansta hay sada,
Kabhi kabhi ro leta hay,
Mujhko bhi zara ro lene do,
Is dil ko zara dho lene do,
Jab sham suhani aayegi,
Aur madhoshi jab chaye gi,
Jab sham ke sanwle paikar per,
Chanda ki kirnen barsen gi,
Jab tare hans kar neel gagan per,
Athkhelian karne niklen ge,
Jab sham ke phoolon ka joban,
Angrai lekar uththe ga,
Aur khusboo har soo bikhre gi,
Woh hosh urane aaye ga,
Har shikwah mitane aaye ga,
Woh jaddo banker chaye ga,
Soton ko jagane aaye ga,
Roton ko hansane aaye ga,
Roothon ko manane aayega,
Aur han ek bat bataun tumhein,
Koi tohfa lekar aayen ge.

Lekin uske, aane se pehle,
Main aaj karoon gi solah singhar,
Phir hal kisi ka dekhoon gi,
Aur main unse phir roothoon gi,
Aiy sham zara jaldi aana,
Dil mera abhi se dharakta hay,
Aur chupke chepke kahta hay,
Phir taza hogi guzri bahar,
Aur chand sitare dekhen ge,
Hum kaise muhabbat karte hayn,
Phir kaliyan chupen gi patton mein,
Phir hawa chalegi behki hui,
Phir jadoo woh ban jayega,
Phir khusboo main ban jaoon gi,
Phir dulhan main ban jaoon gi,
Koi ghughat mera uthae ga,
Koi geet bhi mujhko sunaye ga,
Woh apna hosh urayega,
Woh mujhko bhi bahkaye ga,
Har aang se masti phoote gi,
Har rang se kirnen niklen gi,
Tum khud hi kaho is jeevan ka,
Us nazuk rangeen lamhe mein,
Koi matlab aur bhi mumkin hay,
Bas ek muhabbat hogi wohan,
Aur uske siwa sare jazbe,
Sharmaen ge chup jaen ge,
Bachon ki tarah so jaen ge.

Yeh khel they mere jeevan ke,
Yeh jeevan aise hi guzra hay,
Keyun aaj nahin, dunya mein kahin,
Yeh khushian dikhai deti hayn,
Logon mein, mere bachon mein,
Yeh preet ki reet sikhaoon kise,
Yeh geet suhane sunaoon kise,
Main kisse kahoon yun peyar karo,
Yun apni subh ki sham karo,
Yum apni sham ki rat karo,
Woh roothe agar to manao use,
Aur rootho, jab muskaye koi,
Yun waqt ganwana theek nahin,
Ban jao lutere muhabbat ke,
Kal balon mein chandi chamke gi,
Yeh guzri umr na aaye gi,
Lekin yeh sab kisse kahoon,
Koi meri sune to usse kahoon,
Koi uske jaisa bhi dikhta nahin,
Koi mere jaisa bhi milta nahin.

Wednesday, September 3, 2014
Topic(s) of this poem: lifestyle
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
Lifestyle should be lovely and forgiving, love is supreme.
COMMENTS OF THE POEM
Gajanan Mishra 03 September 2014

koi mere jaisa milta nahin. the very truth, Allaha afiz

0 0 Reply
Aftab Alam Khursheed 03 September 2014

As a grasped the content of this poem - it is a poem about separation of loved one and the other is waiting or desirous to go behind or quest for death or waiting to go lovely poem so-beautiful 10

0 0 Reply
Khalida Bano Ali 03 September 2014

What a diction, what a tone, what a romance, what a love and what a moral!

0 0 Reply
Me Poet Yeps Poet 04 August 2019

This poem stretches beyond my beach I know all often weep its urs and my story and all those who read its a long poem indeed when wife and hubby draw.....

0 0 Reply
Khalid Saifullah 06 June 2017

What a great piece of poetry.................................................................

0 0 Reply
M Asim Nehal 14 May 2016

Kya baat hai Janab....Umda nazm hai..10+++

0 0 Reply
Geetha Jayakumar 07 September 2014

Beautiful romantic poem. Beautiful lines..... Yeh guzri umr na aaye gi, Lekin yeh sab kisse kahoon, Koi meri sune to usse kahoon, Koi uske jaisa bhi dikhta nahin, Koi mere jaisa bhi milta nahin. Loved reading it.

2 0 Reply
Neela Nath Das 04 September 2014

I'm taking the music of this utterly romantic poem with me and would like to bear it until it goes away.Wonderful! ! !

1 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success