Khushian Aur Gham Poem by Jyoti Joseph

Khushian Aur Gham



Dedicated to A S

Khushiyan Aur Gham Saihti Hai
Phir Bhi Ye Chupp Rehti Hai
Abh Tak Kisi Ne Na Jaana
Zindagi Kya Kehti Hai
Khushiyan Aur Gham Saihti Hai
Phir Bhi Ye Chupp Rehti Hai
Abh Tak Kisi Ne Na Jaana
Zindagi Kya Kehti Hai
Apni Kabhi, To Kabhi Ajnabi
Aansoon Kabhi, To Kabhi Hai Hansee
Dariya Kabhi, To Kabhi Tishnagi
Lagti Hai Ye To

Khushiyan Aur Gham Saihti Hai
Phir Bhi Ye Chupp Rehti Hai
Abh Tak Kisi Ne Na Jaana
Zindagi Kya Kehti Hai...
Khamoshiyoon Ki Dheemi Sadaa Hai
Ye Zindagi To, Rab Ki Dua Hai
Chu Ke Kisi Ne Isko, Dekha Kabhi Na
Aihsaas Ki Hai Khushboo, Meheki Hawa Hai

Khushiyan Aur Gham Saihti Hai
Phir Bhi Ye Chupp Rehti Hai
Abh Tak Kisi Ne Na Jaana
Zindagi Kya Kehti Hai...
Ahaa Aa Aa Aa
Umm Hmm Umm Umm...
Mann Se Kaho Tum, Mann Ki Suno Tum
Mann Meet Koi, Mann Ka Chuno Tum
Kuch Bhi Kahegi Duniya
Duniya Ki Chodo
Palkon Mein Sajke Jhil Mil
Sapnay Bunoo Tum

Khushiyan Aur Gham Saihti Hai
Phir Bhi Ye Chupp Rehti Hai
Abh Tak Kisi Ne Na Jaana
Zindagi Kya Kehti Hai
Apni Kabhi, To Kabhi Ajnabi
Aansoon Kabhi, To Kabhi Hai Hansee
Dariya Kabhi, To Kabhi Tishnagi
Lagti Hai Ye To
Khushiyan Aur Gham Saihti Hai
Phir Bhi Ye Chupp Rehti Hai
Abh Tak Kisi Ne Na Jaana
Zindagi Kya Kehti Hai...

COMMENTS OF THE POEM
Anj Dayal 12 May 2009

Is taane-baane mein hi sab rang mil jaate hain, isliye gam bhi zaroori hai aur khushion ki bhi apni ahmiyat hai. bahut khoobsurat hai, shukriya!

0 0 Reply
Aashimar Singh 29 March 2009

Kaun hai ye jo itna sehati hai magar kuchh kehti nahi................samjhao useey kareeb bulao ussey keh do zara sehne se nahi hota kuchh yahan..............kahegi nahi to jiyegi wo kaise aur gar jiyegi nahi to karegi wo kaise kitne hi kaam adhoorey pade hain..............zara keh do ussey sehne se bhala hai ki keh de kisi se..........

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success