Khwab Martay Nhi! ~(Inspired) ~ Poem by Shahzia Batool

Khwab Martay Nhi! ~(Inspired) ~

Rating: 5.0


Yeh koi bnd aankhon ka qissa nhi
Neend jesi haweli ka hissa nhi
Khwab jin ki nigaahon me aatay nhi
Zeest k raaz se woh to waaqif nhi
Khwab eemaan e kaamil ki bunyaad hen
Khwab tegh e fana se bhi azaad hen
Khwab hen to nigaahen bhi abaad hen
Imtehan e Khalil e Khuda Khwab hen
Ye hi aghaaz e qissa e zibh e azeem
Aur waseela e pur nur e Rabb e Kareem
Khwab Yousuf k hathon me roshan kitaab
Khwab ilhaam ki kefiyat ka shabaab
Khwab hi rang hen
Khwab hi roop hen
Khwab baraan bhi
Khwab hi dhoop hen
Khwab ghaiz o ghazab se bhi dartay nhi
Khwab zinda haqeeqat hen martay nhi!

Thursday, July 24, 2014
Topic(s) of this poem: dreams
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
after reading Ahmad Faraz' poem posted by Mr. Naveed Iqbal Khan...
COMMENTS OF THE POEM
Tirupathi Chandrupatla 28 July 2014

Do live this life to its fullest one must dream. Nice message. Khwab hi zindagi hai. Thank you.

0 0 Reply
Tribhawan Kaul 29 July 2014

Khwabon kee duniya mein, ek baar jaaye to hazoor Zindgi jee jaate hain bina bandishon ke, aur bharpoor./TK Bahut khoob likha hai, Shahzia. For a change I feel elated. Eid mubarak.

0 0 Reply
M Asim Nehal 30 September 2015

Kya khayal hai.......... Khwab ghaiz o ghazab se bhi dartay nhi Khwab zinda haqeeqat hen martay nhi!

0 0 Reply
S.zaynab Kamoonpuri 01 November 2014

Wah attractive title meaning, 'dreams never die', but the line of zibhe azeem is intense and has a soulsearching soulful effect relating to the dark month we are in of that azeem sacrifice. Kudos great poetess.

0 0 Reply
Soulful Heart 25 October 2014

kal ke khwab hi aaj ki haqeeqat hai......aejaad va hukumat bhi khwab ki hi tameer hai...khwab kal aaj aur aane wale kal ki ladi hai.....beautiful words put into beUtiful poem...

0 0 Reply
Unwritten Soul 17 August 2014

Just wondering what it could be if it be translated in English... Lol_unwritten soul

0 1 Reply
Ramesh Rai 02 August 2014

Bas hum sab ek n ek khwabon ki duniya mein jee rahein hai. jis din khwab mar jayegi phir hum nahi rahenge. Thanks for share n regards.

1 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success