Kora Kagaj (In Hindi) Poem by R. A. Chaudhary

Kora Kagaj (In Hindi)

Main to kora kagaj hoon,
Likho, padho, Aag laga do,
Rakh ban kar ood jaoonga.

Main to mitron ka yaad hoon,
Bhoolo, Bhatko, Samajhna sod do,
Bileen ho jaoonga.

Kavi mandir gaya, kavi kabra mein,
Majja aaya mujhe, lekin sabra mein.

Kavi syaahi bana, bhara kalam mein,
Jaise sath na chhuta ho, koi janam mein.

Kush khoya, kush paya bhi,
Kabhi royaa, kabhi hansa bhi.

Kabhi Sishe bana, takraya bajra mein,
Majja aaya mujhe, lekin sabra mein.

Fir bhi,
Main to kora kagaj hoon,
Likho, padho, aag laga do,
Rakh bankar ood jaoonga.

Main to mitron ka yaad hoon,
Bhulo, bhatko, samajhana sod do,
Bileen ho jaoonga.

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success