Koyeliah Poem by Akhtar Jawad

Koyeliah

Rating: 5.0


Koyeliah Mujhko sikha yeh geet,
Bula loon main bhi apna meet,
Jo barkha ritu mein gati hay,
Tu kaise usko bulati hay,
Tere sang main bhi gata hoon,
Bin samjhe hi dohrata hoon,
Na jane tu keyun chirhti hay,
Bata keya mujhko samajhti hay,
Chura na loon main tera meet,
Churaoon ga main tera sangeet,
Mubarak tujhko apna meet,
Mubarak tujhko apna geet,
Mujhe tadpae kisi ki preet,
Bula loon main bhi apna meet.

Tera yeh meet nahin hay mera,
Tu samjhe mujhko lutera,
Aa barchi ban kar aa ja,
Mere dil mein isko chubha ja,
Mere geeton ko dede dard,
Mera mahboob hay kitna sard,
Meri aankhon mei bhar de pani,
Meri awaz ko de de rawani,
Wuh urta aaya tera meet,
Chupi patton mein teri preet,
Mubarak tujhko apni jeet,
Bade sharmeeley hayn yeh meet,
Sikha de jadoo bhara sangeet,
Bula loon main bhi apna meet.

(Ek purana bahut purana geet)

Tuesday, January 13, 2015
Topic(s) of this poem: love and pain
COMMENTS OF THE POEM
Rajnish Manga 13 January 2015

koyal ke hawale se aapne mohabbat ke maare huye ek dil ka haal badi khoosurati se bayaan kiya hai, Akhtar Jawad sahab. It reminds me of a Begum Akhtar Ghazal 'koyaliya mat kar pukar, karejwa lage kataar Hats off to you.

1 0 Reply
Salini Nair 13 January 2015

beautiful write...............................

1 0 Reply
Khalida Bano Ali 13 January 2015

Ek madhur geet...................10

1 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success