Kuch Ashar Poem by M. Asim Nehal

Kuch Ashar

Rating: 5.0

Chirag jale hain abhi to
Kabhi ye bujh bhi jayenge
Hum na honge jab
Yaad bahut aayenge.

Ansoo tere ankh ke dekh to loon Lekin
Dil na beh jaye, ye soch ke darta hoon.

Dard se machal kar ankhen ansoo gholti hain
Aadmi bolta nahi adayen bolti hain

Baat reh jaati hai aadhi jo kahani mein
Mai wahi likh jaata honn is zindgani mein

Sunday, January 10, 2016
Topic(s) of this poem: life,wisdom
COMMENTS OF THE POEM
Abhilasha Bhatt 14 January 2016

Kbhi kisi bat se jhijhakar jo baaton main nhi kehpate hain Un baaton ko ham kavitaon main apni likh kar keh jaate hain....beautiful poem...liked it....thanx for sharing :)

2 0 Reply
Kavya . 11 January 2016

wah wah wah bahut khoob

3 0 Reply
Rajnish Manga 10 January 2016

Sabhi she'r lajawab hain lekin bataur-e-khas neeche likha she'r lakhon me ek hai. Shukriya, Asim ji. Ansoo tere ankh ke dekh to loon Lekin Dil na beh jaye, ye soch ke darta hoon.

3 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success