Kudrat Ka Khel Bahut Nirala Hai Poem by Shrini Deewana

Kudrat Ka Khel Bahut Nirala Hai

Kudrat ka khel bahut nirala hai, Kahin hariyali hai to kahin veerani hai.

Kahin chulah bhi jal nahin paati hai, To kahin jalti hai deep diwali ki,
Koi taraste hai do waqt ke roti ko, To koi paison ke bistar par hi sote hai,
Kisi ko tan dhakne kapade nahin hote hai, To koi nangepan ko hi fashion kehate hai,
Koi taraste hai mamta ki khaatir, To kisi ke godh suni suni hoti hai.

Kudrat ka khel bahut nirala hai, Kahin hariyali hai to kahin veerani hai.

Kisi ka dil mein hai mohabbat bhara, To kisi ke dil mein nafrat ki bhandar hai,
Kisi ke jeevan hai gulshan se saja, To kisi ka jeevan lagta ek samshan hai,
Taraste hai koi mohabbat ke khaatir, To koi maar rahe mohabbat ko laat hai,
Kahin ut rahi hai doli basane apni duniya, To kahin arthi duniya se jaane ko taiyaar hai.

Kudrat ka khel bahut nirala hai, Kahin hariyali hai to kahin veerani hai.

Kahin jal rahi hai shaadi ki agni, To kahin agni se ho rahi shav raakh hai,
Kisi ki maang sindoor se sajthi hai, To kahin ujadthi kisi ki maang hai,
Koi mana rahe hai khushiyon ki diwali, To koi kar rahe maatham saari raat hai,
Kahin par khushiyon ka aalam hai, To kahin gham mein dooba jahan hai.

Kudrat ka khel bahut nirala hai, Kahin hariyali hai to kahin veerani hai.

Kahin ugti hai suraj nayee subah ki, To kahin par amaavas ki raat hai,
Koi tadapte hai apni mohabbat paane, To koi mohabbat paakar bhi laachar hai,
Koi kar rahe hai raaj mohabbat se, To koi kar rahe bas hathyachaar hai,
Kahin sukh se bhara hai kisi ka jeevan, To kisi par dukh kar raha apna waar hai.

Kudrat ka khel bahut nirala hai, Kahin hariyali hai to kahin veerani hai.

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success