Kutch Aiyse Bhi Jadoo Hote Hayn Poem by Akhtar Jawad

Kutch Aiyse Bhi Jadoo Hote Hayn

Rating: 4.9

Neend aaye aur so na sakoon kutch aiyse bhi pehloo hote hayn,
Yeh rat bhi jinse pareeshan hay kutch aiyse bhi gesu hote hayn.
Hum hanste hue bhi rote hayn hum rote hue bhi hanste hayn,
Khushion pe chalak jo jate hayn kutch aiyse bhi aansoo hote hayn,
Hamein shauq hay unki khusboo ka kante bhi gawarah hayn humko,
Jab rang pighalne lagte hayn wuh khushboo khushboo hote hayn.
Phoolon ki muhabbat mein humne kanton ko gale se lagaya hay,
Jo zakhmi kar ke tadapne na dein kutch aiyse bhi abroo hote hayn.
Wuh chehra chand ke jaisa hay wuh aankhein sitaron jaisi hayn,
Chamkeele seah resham mein chupe kutch aiyse bhi mahroo hote hayn.
Yaro in masoom haseenon ko main thoda zeyadh janta hoon,
Jo kanton ki sej bichate hayn kutch aiyse bhi gulroo hote hayn.
Jo sar per chadh kar bolte hayn kutch sunte nahin bas kahte hayn,
Use dekh ke mujhko aaya yaqueen kutch aiyse bhi jadoo hote hayn.

Tuesday, May 26, 2015
Topic(s) of this poem: love and pain
COMMENTS OF THE POEM
Abduhoo Salamath 22 August 2016

Yaro in masoom haseenon ko main thoda zeyadh janta hoon, Jo kanton ki sej bichate hayn kutch aiyse bhi gulroo hote hayn. Jo sar per chadh kar bolte hayn kutch sunte nahin bas kahte hayn, Use dekh ke mujhko aaya yaqueen kutch aiyse bhi jadoo hote hayn wah..waah...bilkul Baja aur sahee farmaya...

0 0 Reply
Geetha Jayakumar 27 May 2015

Beautiful ghazal. I loved the flow of words. Loved reading it.

1 0 Reply
Khalida Bano Ali 27 May 2015

Keya khoobsoorat ghazal hay.....................10

1 0 Reply
Mr. M Jamal 27 May 2015

Neend aye aur so na sakoon kutch aiyse bhi pehloo hotay hayn, Yeh raat bhi jinse pareshan hay kutch aiyse bhi gesu hotay hayn.... Wah! Maza aagaya :) .........10

2 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success