Kya Kahe! ! Poem by Harmeet Saluja

Kya Kahe! !

Ruke hai ek janat-e-pari ko dekhker ab kya kahe,
Dil me utha hai ek selab ab kya kahe,
Husan dekho uska ke Khuda bhi soche ki kya kahe,
Awaaz me hai wo tarag ki koyel bhi kuch na kahe,
Aankho me dekho zara, hai wo nazar ki jalti mom bhi kya kahe,
Hai uska dil aisa ki pyar bhi soche ki kya kahe,
Hotho par hai uske wo meethas ki sharab ka nasha bhi kya kahe,
Khawbo me hai wo chayi ki dil ki dhadkan bhi kya kahe,
Na jane kya jaadu kiya ki rukti saanse bhi kya kahe,
Ae chalti hawa tu hi bata ke wo shabnam-e-makmal si pari kya kahe,
Ho gaya hai pyar ab inn badti dhadkano ko kya kahe,
Jeena lage dusvaar ab inn chalti saanso ko kya kahe,
Jash-e-mehfil bhi lage suni si, khilte gulab ko kya kahe,
Chali gayi jo dard-e-dil dekar ab use hum kya kahe,
Jo bana gayi hume apna aur kar gayi hume tanha use kya kahe
Chand ki chandni jo chod gayi band aankho me use kya kahe,
Ae Khuda tu bata ki tere bikhre moti ko hum kya kahe,
Jalte suraj aur dhalti shaam ko hum kya kahe,
Humari tanhaii ke ye aalam ko kya kahe…
Ab hum dil ke hare kya kahe…

Tha aankho ko jiska intezar wo aaj dikh gaya ab hum kya kahe,
Dhadkane-e-dil rukh gayi ab dil se kya kahe,
Aankhe jane kyu baras gayi ab beegi aankho se kya kahe,
Dil-e-naadan jane nahi kyu ye kadam ruke nahi, ab inn hoto se kya kahe,
Wo pal aaya aur chala gaya, ab inn simatti yaado se kya kahe,
Lagi hai aag milan ki ab haal-e-dil jane nahi kya kahe,
Jane mujh par ye kya junoon chaya hai ab hum kya kahe,
Na raat raat hai, na din din, ab dhalti aankho ko kya kahe,
Ae Khuda, sun meri dua, ab hum apni khawish kya kahe,
Mila de mujhe usse ab rukti saaso se kya kahe,
Ab hum kya kahe……


Do dilo me lagi aag ko dekh ab Khuda bhi soche ki kya kahe,
Inn dukhi dilo ko dukh dekar Khuda bhi kya kahe,
Pyar ho agar sacha to doori nahi hoti ab kya kahe,
Doori par bhi milan hota hai ab aankho se kya kahe,
Dhadakte dilo ki dhadkane dono ko karib le aayi ab kya kahe,
Ek din dono phir mil gaye ab kya kahe,
Dono ke kadam wahi rukh gaye ab dil se kya kahe,
Aankho me tha pani, saaso me thi teezi ab kya kahe,
Ek pal ke liye unki duniya ruk gayi, ab wo hotho se kya kahe,
Unki chahat, unki aamanat unke samne thi, wo pal ko kya kahe…
Wo dil hi dil me pyar ka ikraar karne lag gaye ab kya kahe,
Tumhare bin meri duniya adhuri hai zindagi se kya kahe,
Tum hi ho meri saaso me, tumhi ho meri duao me ab kya kahe,
Tum hi mera pyar ho, mera mazhab ho, ab Khuda se kya kahe,
Ek dusre ka pyar dekh dono dur rahe na paye ab kya kahe,
Khushi se zindagi bhar saath bitane ke liye chal diye ab kya kahe,
Ek bar phir Khuda ne dikhaya apna kamaal duniya se kya kahe,
Sache pyar wale kabhi dur nahi hote ab dil se kya kahe,
Ae dost ab pyar ke baare me aur kya kahe,
Bas sache dil se karna pyar aur phir kehna ki ab kya kahe…

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Harmeet Saluja

Harmeet Saluja

Ahmedabad, Gujarat, India
Close
Error Success