Kya Yehi Hai Azaadi Poem by Shrini Deewana

Kya Yehi Hai Azaadi

Kya keemat hai insaanon ke jeevan ki,
Kya yeh batayega mujhe ab koi,
Kyon ho rahi hai itni is desh mein dehashat,
Kya yeh samjhayega mujhe ab koi.

Kya duniya mein koi mol nahin hai,
Ab hum insaanon ke jeevan ki,
Kya pranth pranth mein bhat gayee hai,
Apna yeh desh jo kabhi to ekjut thi.

Kya rajyon ke seemaon ne insaniyat hi khatam kar di,
Ya kursi ki koi lalach ne apne desh ki yeh sthithi kar di,
Kahan gayee woh Bharat jisne kabhi ladi azaadi ka jung,
Kya azaadi ne kar di hai apne saare sapnon ko bhang.

Kal apna desh tha ghulam magar,
Is desh mein sab ki ekjut to thi,
Aaj hum angrezon se azaad hai magar,
Apne hi dharam ke hum hai ghulam bane.

Kab milegi humein ab phir se azaadi,
Is jaath aur dharam ki ghulami se,
Kab hategi apne pairon se yeh bhedi,
Jo jaath aur dharam ne pehanaya hai humein.

Aisi azaadi ki ab kya matlab hai,
Jo baant rahi hai is desh ko pranthon mein,
Aisi azaadi ki ab kya matlab hai,
Jo pehanaye bhedi apne hi tarakki ke pairon mein.

Aao hum milkar aise desh banaye,
Jisme pranthon ki nahin koi seema hogi,
Dil se hum bas Bharatiya hi rahein,
Aur prachand Bharat apna hi hogi.

Jahan na hogi koi bhed bhaav,
Kisi bhi pranth ke logon mein,
Har Bharatwasi azaad rahega,
Kisi bhi pranth mein jaakar basne.

JAI HIND, MERA BHARAT MAHAAN

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success