kyu tuut jate hain sapne
hawa ki tarah
dhuyen ke challe ban kar
vo umeedon ka shamiyana
rula jate hain vo unka juthi hansi hasana
na bikhar sake na tut sake
vo patton ka murjhana
dil ke aansu rula kar
sapne haquiqat ko samjha kar
kya kehte hum jamane se
khudh ke ansu chupane se
na koi raah na koi modh
na manzil ka nishana maalum
zindagi kisse kehte hain
hum kis duniya mein jeeye ja rahe hain
kisi dorh mein baghe jaa rahe hain
na koi aage na koi peeche
na koi raah naazar aata hain
phir b din chalta hai raat gujarti hain
hum aaise to nai the
jo aaj huye jaa rahe hain
hume kudh ko maalum nai
kaun hu main
kya aastitav hain
kya karne aaye hain kya kar rahe hain
This poem has not been translated into any other language yet.
I would like to translate this poem