Main Hun Khas Poem by NEHA UPADHYAY

Main Hun Khas

Rating: 3.5


Halki halki jab hawa chale,
Mujhe apne sath le chale.
Hawa ke har raukh par naam hai mera,
Yeh din yeh raat yeh aasman hai mera.
Yeh jugnoo yeh tare mere apne hain,
Zindgi ke yatharth se pyarey yeh sapne hain.
Yeh bagiya ka mehkna hai mere liye,
Chidiyun ka cahakna hai mere liye.
Bag me saje phool mujhe apne pas bulate hain,
Dusron se jyada yeh mere dil ko lubhate hain.
Pedon ki daali chli ati hai meri ore,
Pass mere ake machati hai shore.
Uski daali par baitha ek sundar mor,
Nache jhoom jhoom ke ghoom ghoom ke cahun ore.
Koyal ka madhur jo zindgi ki lay me behta hai,
Yeh kehta hua ki mera sath use kitna bhata hai.
Yeh bhavre yeh kaliyan mere liye hain,
Jo kudrat ne sanjokar mujhe diye hain.
Jo pehle nahi tha woh ab hua ahsaas,
Ki main hun is duniya me kitni khass.

COMMENTS OF THE POEM
Siddharth Singh 11 March 2010

Aap sach mein bahut khaas hain, aur aapki kavitaa mein khaas baat hai. Very nice.

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success