Mausam Poem by KAVITA SINGH

Mausam

Rating: 5.0

aaj mausam ne karwat badli....
fizaon pe vi suroor sa chhaya hai...

kohre ki aagosh me dekho...
ye gulshan vi sharmaya hai...

phoolon pe bhaware gungunaye....
panchhiyon ne vi shor machhaya hai...

dekho sard mausam me vi.....
basant sa khumar aaya hai....

dil chahe titli ban jaun....
udti firun main gulshan-gulshan.....

apne rang me rang lun sabko....
chha jaaun main chaman-chaman..

#kavita

Saturday, December 5, 2015
Topic(s) of this poem: nature
COMMENTS OF THE POEM
Abduhoo Salamath 29 August 2016

waah...shayad aap ke janam lete hi aap ke parents koo pata chalgaya tha ki aap badi hokar kavi likhogee isee liye shayad aap ka nam kavitha rakha hai.... bahuth khoob mousam vaqiyee bada suhana hai..poem bhi.

1 0 Reply
Kavita Singh 30 August 2016

hahahah thank u.... pta nhi shayad aisa hi kuchh hoga....

0 0
Ajay Kumar Adarsh 24 August 2016

very nice poem...............10+

1 0 Reply
Shakil Ahmed 05 December 2015

dil chahe titli ban jaun.... udti firun main gulshan-gulshan.- - wondrful composition, you wish to fly in the sky because nature is too gracious and beautiful, nice work, thanks for sharing.

1 0 Reply
M Asim Nehal 05 December 2015

Wah wah kya khayal hai aur kya andaz hai.....Maza aagay Kavitaji.......LOVED IT...100 on 10 dil chahe titli ban jaun......................Kash yeh ho sakta udti firun main gulshan-gulshan.....Kya maza aata apne rang me rang lun sabko......... Wah wah chha jaaun main chaman-chaman.. Kya baat hai

4 0 Reply
Kavita Singh 05 December 2015

thank u asim ji...cool weather ke cool khayal hai....

0 0
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success