Mein Akela Hi Rahoonga Poem by Shrini Deewana

Mein Akela Hi Rahoonga



Mein akela hoon akela hi rahoonga
Jab bhi mere jaan mere saath na hogi,
Yaad to aati rehati hai woh mujhe har pal,
Aur aankhon se aansoon behate rehate hai.

Kaise samjhaoon us bedardi sanam ko dil ka haal apna,
Kaise bayan karoon kitna tadapta hai dil mera uske liye,
Kaise kahoon us se ke jee raha hoon sirf usi ke liye,
Warna jeene ki to mujhe koi bhi chaha nahin.

Tadapta to hoga uska dil bhi mere yaadon mein lekin,
Yeh maatam si mukaam usi ne laya hai is jeevan mein,
Jab bhi hum dono mil nahin paate ek duje ko,
Ya jab koi baat nahin hoti hai hum dono mein.

Uske jeevan mein to log hai jis se behal jaati hogi dil uski,
Lekin kiske sahare behalaoon sanam mein dil mera,
Mein to hoon ek akela is badi duniya mein sanam,
Koi nahin hai mera is jahan mein ek tere siwa.

Jab sanam tum nahin de paogi waqt apna mere liye,
Tab kya umeed rakhoon mein badi duniya se sanam,
Jab apna hi saath na de mere har pal ai sanam,
Tab duniya kya saath degi is badnaseeb jeevan ke.

Shrini 'Deewana'

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success