Mein Aur Tum Poem by Shambhu Dan Mehru

Mein Aur Tum



kitne naam
kitne anaam
kitne naam hai mere
janm mein hi leta hu
ajanma mein hi rahta hu
kal jo tirskrit hua
aaj jo purskrit hua
woh mein hi tha
log mujhe hi poojte hein
gali bhi to mujhe hi dete hein
mein kabhi viraat ho jata hu
kabhi sookshm ho kho jata hu
itana sookshm ki dikhaai nahein deta
kewal mahsoos hota hu
priyjan
mujhe bandhne ki koshish ksrte hein
bandh jata hu
mukt bhi to
mein hi rahta hu
sugandh-durgandh
mere hi to naam hein
kitne bhesh hai mere
tumhare bhesh me bhi to
mujhe hi pahchante hein
tum aur mein
ek hi to hein
kabhi tum- mein
kabhi mein-tum
ye aankh michouni ka khel hai
jo mein aur tum khelte rahte hein
bhesh badlte rahte hein
mein raahi hu-raah nahein hu
mein jivan hu-maut nahein hu
mein maa hu-sout nahein hu
meine hi pahni thi
gulaami ki jazeerein
mein hi azaadi bhogta hu
vaar mein hi karta hu
vaar mein hi jhelta hu
kokh mein hi hota hu
janm mein hi leta hu
mein hi ulajhta hu
mein hi sulajhta hu.

(The poet hadn't read the holy Geeta ever, although it seems like these lines were taken from that sacred book)



BORUNDA

28 January 1974

COMMENTS OF THE POEM
Gajanan Mishra 22 June 2014

very fine, I like it, thanks. please read my poems and comment.

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success