Kabhi gar tumko mera khayal aane lage....
to aankhein band ker ke ye sochna
ki tumhe sabse jyada kisne chaha...
Mai aa jaunga...
Meri khabar na mile or jaan jaane lage....
To aankhein band ker ke sochna
ki tumne sabse jyada kis se nafrat ki...
Mai aa jaunga...
Kabhi jab koi apne hath se khilane lage...
To aankhein band ker ke sochna
ki sabse jyada tumhe kisne samhala....
Mai aa jaunga....
Kabhi jab bheed me bhe tanhai aane lage...
To aankhe band ker ke sochna
ki sabse jyada tumhare kareeb kon rehta tha...
Mai aa jaunga...
Pagal hai ye duniya wale jo
kehte hai mai nahi raha...
Kabhi yaad aye to aawaz dena...
Mai aa jaunga...
Ha mai aa jaunga....
This poem has not been translated into any other language yet.
I would like to translate this poem