Mere Dil Ka Haal Poem by Shrini Deewana

Mere Dil Ka Haal

Tanha tha mein kal din bhar,
Sanam tere hi intezaar mein,
Par aayee na tu na koi baatein hui,
Dil tanha reha gayee tere intezaar mein.

Diwali wahan manati thi tum,
Aur duniya mere ujada sa laga,
Har pal tujhe bas yaad mein karta raha,
Mana teri kuch majboori thi,
Par dil kuch bhi na sun saka.

Dil mein jo kuch bhi armaan thi,
Woh armaan ansoon mein beha gayee,
Koi bhi na tha jo mujhe thaam le,
Aur behate hue aansoon ko rok le.

Ek wada karo tum mujhse sanam,
Ke aisa phir hogi na kabhi,
Aisa ek din aaye na jeevan mein mere,
Jab jeena padega mujhe tere bin.

Mana tere bhi majboori hai,
Par mohabbat majboori se hoti hai badi,
Agar phir se kabhi tum na aayee to,
Woh hogi mere zindagi ki aakhir ghadi.

Shrini 'Deewana'

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success