Mere Khoobsoorat Ahsas Poem by ANJALI KAKATI

Mere Khoobsoorat Ahsas



Mere khoobsoorat ahsas.
Duor ho kitne,
Phir bhi,
lagte ho kitne paas.
Shayad,
Mujhme hi rahte ho
Yahi,
Mere khoobsoorat ahsas.

Subah ki halki dhoop ho
Ya raat ki tanhaii
Se halki aah.
Yo hi sulagti hai,
Halke halke,
Lagan ki ye aanch.

Barsoo dhoondha jisko
Gali gali
Din din
Raat raat
Tumhi ho,
Tumhi ko paaya hai
Dil ne
Itne kareeb,
Itne paas.

Kya ho?
Meri hi aatman ke
Bichede se saath.
Ya
Kalpana ki upaj
Jo na choode haath.
Jo bhi ho
Mere ho,
Mujh me hi baste ho,
Sang rahte ho
Har pal sath sath.
Tum alag kaha ho?
Shayad mujhse hi ho
Mere khoobsoorat ahsaas.
-anjali

COMMENTS OF THE POEM
Manonton Dalan 31 December 2011

bullaa ki jaana maen kaun

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success