Mere Khwaabon Mein Tum Aayee Poem by Shrini Deewana

Mere Khwaabon Mein Tum Aayee

Ek raat mere khwaabon mein sanam tum aayee,
Gehari neendh mein bhi mere chehare mein ek muskaan chayee,
Man kar raha the kabhi bhi na toote yeh meethe khawab mere,
Kabhi na jaagoon mein aur dekhta rahoon dil ke aaine mein tasveer teri.

Jab aankh khuli tab yeh jaana yeh to thi ek khwaab,
Lekin dil ki har dhadkan keha rahi thi yeh khwaab thi lajawaab,
Kaise tujhe samjhaoon sanam ke mere dil mein hai ek kitaab,
Us kitaab ke har panne mein basi hai sanam jiski khoobi hai behisaab.

Dil karta hai dekhta hi rahoon har pal mein chehara tera,
Apne palkon par mein basa loon teri tasveer ko mein dilruba,
Tujhe dekhne ki ek chahat sada rehati hai mann mein meri,
Karta hoon dua mein khuda se ke karde woh apne saare armaan puri.

Shrini 'Deewana'

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success