Mere Kirdaar Ki Daulat Pe Poem by M sayeed akhtar

Mere Kirdaar Ki Daulat Pe

mere kirdaar ki daulat pe kuddari ka kabza hai
zameen-e-dil ke sube par wafaadaari ka kabza hai

chale aao tumhe bhi badh ke seene se laga lenge
hamaare zahen par ab bhi milansaari ka kabza hai

garibon ke dilo me dard-o-gham aaraam karte hain
ameero ke dilo par dil ki bimaari ka kabza hai

tumhaare khoon me shamil hai asmat daao par rakhna
hamaare ghar me barso se adaakaari ka kabza hai

yahan har aadmi jhooti chamak chahere pe rakhta hai
shareefo ke shaher par bhi adaakaari ka kabza hai

ye kisne zaher khola hai fizaawo me sayeed akhtar
suna hai aaj kal duniya pe bambaari ka kabza hai

POET'S NOTES ABOUT THE POEM
zahen ki takhti par ubhare manzar ko lafzo ki shakl me pesh karne ki ek koshish ka naam hai........ye ghazal
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success