Mere Lambe Balon Ka Razz.. Poem by abhilasha bhatt

Mere Lambe Balon Ka Razz..

Rating: 4.0

Mere lambe balon ka raaz…
Na tel hai koi..
Na vigyapano main chapti
Dukanon main bikti
Wastu hai koi…
Mere lambe balon ka raaz…
Na jadibuti hai koi..
Na rasayanik chez hai koi..
Mere lambe balon ka raaz…
Tanhai h arson se lipti hui
Bikhra wajood h toota hua
Batain hai kain ankahi
Raatain hain kain khamosh si
Shamain hai kain dum todti
Shikwe hain kain shikayate hai kain
Yaadain hain mazi ki kain..
Inhe bandh kar ghamo ko apne
Tanhai ko apne
Ruswai ko apne
Baton ko apni
Mazi ko apne
Sametne ki koshish ek choti si krti hoon..
Jo samete mujhe mujhmain rehne deti hai..
Jo main toot jaun to judne ki wjh deti hai..
Mujhe khudse roothne manane ki ada deti hai

Sunday, November 29, 2015
Topic(s) of this poem: life
COMMENTS OF THE POEM
Akhtar Jawad 12 February 2016

Ek achi auor sunder kavita, bahut pasand aai.

0 0 Reply
Souren Mondal 30 November 2015

Anokhi kavita likhi hai apne Abhilasha.. In aksharo mein jazbaaton aur jazbe, dono ki kami nahi hai.. Sukhriya..

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success