Meri Maa Poem by abhilasha bhatt

Meri Maa

Rating: 5.0

Tujhse hi main hoon maa
Tu Jo hai to main hoon maa
Tu Nhi to Kuch bhi nhi maa
Tujhse hi bahar hai jeevan main mere maa
Tu Jo Nhi to patjhad hai jeevan maa
Tu Jo hansti hai to ujli dhudh si dikhti hai maa
Tere hansne se main jeevan ka apne wajood manoon maa
Tu Jo ruthey to jeevan registan hai ban jata mera maa
Teri batain mujhe hosla deti hai har taqleef se ladjane ka maa
Tere hathon ka mere sir par padta sparsh deta hai mujhe sukoon aur marham har dard pr kaboo pane ka maa
Tu mere jeevan ka pehla path hai maa
Tu meri yaadon ki sabse meethi yaad hai maa
Mera ruth jana phir tera mujhko manana yad ata h mujhko maa
Tu kavita hai meri maa
Tujhse hi jag hai mera maa
Tera raat tk mujhe makammal khushiyan dene ka kam krte rehna bina thake hare yaad mujhe ab bhi maa
Teri hathon par padi daradre kam kr kr k magar sparsh main koi kami Nhi thi wo Jo pyar k yaad hai Ab bhi mujhe maa
Ye sanse jo chal rahi hai meri teri hi meher se hain main
Teri duaon main mera har lafzon main tere hona mujhe ehsas hai ab bhi maa
Tujhe har kushiyan dene k lie main aj tujhse door ja raha hoon meri maa
Lautunga jaldi tujhse door main bhi Nhi reh sakta meri maa
Tujhe peeche mud kar dekh na paunga meri maa
Nhi to main ja na sakunga sapnon tere pura krne meri maa
Sochra hoon main rastey main ki Kya Kya karunga main tere lie meri pyari maa
Kaisa ghar banaunga tere lie maa
Kaisa use sajaunga tere lie maa
Waise hi jaise tu mere banaye mitti k ghr ko sajati thi maa
Ye Kya hua sochte sochte mere khwabon main ye kaisi khalal padi
Lashain hain har jgh bikhri hui
Ek meri bhi nazar mujhe ati hai bejan si
Bikhar gye sapne maa
Ye kaisa asman gira hai
Meri ruh nikal gai hai jism se mere yad bahut arahi mujhe meri maa hai
Tu rona Nhi maa
Main laut k ek din aunga maa
Tujhe main chand taron main hamesha nazar aunga maa
Tu roz milna mujhe
Hum batain karenge
Phirse bachapan ko mere zinda hum karenge
Meri pyari maa tu aur main raat aur din ki ankhmicholi khelenge

Friday, November 27, 2015
Topic(s) of this poem: mother and child
COMMENTS OF THE POEM
Mithilesh Yadav 28 January 2016

Grrt penned everything written for maa is grrt but your poem is penned marvelous...... suraj bujha dhara jhukhi.... dekha aanant iswar ka bhi aant hotey huey..... prantu teri pida sey nikli muskan saswat..... hey maa tum hi jahan mein saswat..... waran ye wishwa naswat..... waran ye wishwa naswat...... a few lines of one of my best poems my beloved poem...... remembered today

0 0 Reply
Aarzoo Mehek 28 January 2016

khoobsurat jazbaat us azeem hasti ke liye jiske bina to humara koi wajood hi nahi hai... khoobsurat ehsaas. bless ur mom girl.

0 0 Reply
Rajnish Manga 01 December 2015

Tujhe main chand taron main hamesha nazar aunga maa Tu roz milna mujhe / एक प्रभावशाली व अत्यंत मार्मिक रचना हमसे शेयर करने के लिए मैं आपको धन्यवाद देना चाहता हूँ. एक युवक अपनी माँ को सुखी देखने के लिए कितने ख़्वाब बुनता है लेकिन होनी को कुछ और ही मंजूर था. काश ऐसी त्रासदी को हम रोक सकते.

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success