Meri Vinay Poem by shambhu nath

Meri Vinay

Meri vinay
Gam mujhe chhora nahi chalate diya dhakel
Mai to aise fans gaya jaise oont nakel
Bachpan me wah khushi nahi thora bahut jarur
Talukdar to the nahi aise the majaboor
Khan pan me kami nahi roj nahi pakwan
Ghar ki halat mai jaanu ya jaane bhagwan
Vinay hamari hai prabhu aisa do vardan
Naam hamara amar ho mai bhee banu mahan
Achchhe karmo ka prabhu de do wah bhandar
Jiwan bhar aaye nahi dukh ka bara pahar
Apane gun ko jaan kar doo auro ko gyaan
Hardam mai karta raho sab logo ka maan
Gam gam game naam mera jaise fool gulab
Avgun aaye paas nahi na rahe koi santaap
Ab daya to kijiye gauri putra ganesh
Gam mujhe chhora nahi chalate diya dhakel

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
shambhu nath

shambhu nath

Pratap Garh Uttar Pradesh
Close
Error Success