Meri Zindagi Samundra Ke Do Chhor-Si Poem by sonali kumari

Meri Zindagi Samundra Ke Do Chhor-Si

Mai ladki hu,
Garv hai mujhe is par,
Zindagi badi sundar hai,
Khushiyo se bhari hai,
Parantu Zindagi meri hai,
Samundra ke do chhor-si,
Jo kabhi hote na ek.
Mai hu ek komal kali,
Jo is chhor par badi huyi,
Apne bachapan me khub kheli,
Youvan me bhi mast khili,
Maa-bapu ka pyaar payi,
Sari khushiya mujhe mili,
Sab hua is chhor par,
Par jab badi huyi,
KAli ful banane ko aayi,
Tab pata chala jana hai use,
Us paar dusari chhor par,
Aayega koi bhavara,
Is ful ki talaash me,
Baha le jayega wo waha,
IS samundra ke bahaw me,
Utha lega wo is kali ko,
Sajane le jayega wo apni gali ko,
Is safar me,
Apne hi log paraye honge,
Paraye hi apne banege,
Raho ke patthar ke to gam nhi,
Par apno se bichhadne ka-
Dukh bhi kuchh kam nhi,
Aankho ke moti jhadenge,
Smundra ke aanchal bhigoyenge,
Maa bapu ke daman chhutenge,
Kisi aur ke daman se judenge,
Meri zindagi hai sidhi-si,
Par samundra ke do chhor-si.

Sunday, April 10, 2016
Topic(s) of this poem: my dearest me
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success