Moulvinama (Nazir Akbarabadi Ki Rooh Se Mazrat Ke Sath) Poem by Sarmad Mirza

Moulvinama (Nazir Akbarabadi Ki Rooh Se Mazrat Ke Sath)

Rating: 5.0


Dhoti pehen ke shehr mayn aata hay moulvi,
Kapde naye yahan pe silata hay moulvi,
Rangeen TV ghar mayn jo lata hay moulvi,
Beevi ko apni shehr bulata hay moulvi,
Raton mayn chup ke film dikhata hay moulvi,
Subh uth ke khoob bat banata hay moulvi.

Pehle kaha ke ismayn to shaitan hay bolta,
Aur ab kisi bhi hal mayn isko na chorta,
Jab tak bulava aaey na beevi ka, dolta,
Mike se apna ishq kabhi bhi na bhoolta,
Paise jo do namaz parhata hay moulvi,
Khutba bhi humko ga ke sunata hay moulvi.

Auron ko jo sikhaye kabhi khud na kar sake,
Aata hay apne waqt pe tankhah agar mile,
Tankhah mayn jo der ho aata hay der se,
Aiy moulvi khuda tujhe thori si aql de,
Masle nae jume mayn uthata hay moulvi,
Khud nachta hay subko nachata hay moulvi.

Sunday, May 11, 2014
Topic(s) of this poem: fun
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
It's just a fun don't take it otherwise.
COMMENTS OF THE POEM
Khalida Bano Ali 05 July 2014

funny and entertaining poem.

1 0 Reply
S.zaynab Kamoonpuri 08 June 2014

Yeah some molvis are comercial n secret sinners but surely there are pious molvis too. I enjoyd yor taunt parody he he. Do read my latest poem too if u like english.

1 0 Reply
Akhtar Jawad 11 May 2014

What a lovely funny poem!

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success