Naat-Zaufishan Nabi Hayn Poem by Akhtar Jawad

Naat-Zaufishan Nabi Hayn

Rating: 5.0


Hayn jinse ard-o-sama darakhshan wuh khawar-e-dojahan nabi hayn,
Wuhi to hayn rashk-e-mah-e-kinaan munawar-o-zaufishan nabi hayn.
Na sirf roshan hay daru-ul-insan shaheer-e-kaun-o-makan nabi hayn,
Hay malik-ul-hamd khud sanakhawan waheed-e-haft aasman nabi hayn.
Wuh hadi-e-kul jinan-o-insan imam-e-karrubian nabi hayn,
Hay aap hi ki sifat quraan khuda ka husn-e-beyan nabi hayn.
Sahaba ban kar gulab mehke shamim rashk-e-adan hay unki,
Wuh bagh keyun kar na ho baharan ke jiske khud baghban nabi hayn.
Naseem-e-sahri hay wahy-e-rabbi yeh lab yunhi muntazir rahen ge,
Wuh aayee aur khil gayeen yeh kaliyan chahar su gulfishan nabi hayn.
Har ek ada mukhtalif hay jinki juda rahi shan-e-fatehana,
Jo jeet le qualb-e-dushman-e-jan wuh fatah-o-kamran nabi hayn.
Hay farq bas yeh ke abr-e-naisan wih ban ke sahra mein aaye warna,
Jo sab jahanon pe barse yeksan karam ka abr-e-rawan nabi nabi hayn.
Nahin hay kutch zad-e-rah lekin main mutmain hoon safar mein apne,
Jab unka hun keyun rahoon parishan ke ghairon per meherban nabi hayn.

Sunday, December 28, 2014
Topic(s) of this poem: naat
COMMENTS OF THE POEM
Khalida Bano Ali 18 November 2017

lAJAWAB NAAT.............................

0 0 Reply
Aarzoo Mehek 17 February 2016

BEshaq jab Wo haami.o naseer hai to zindagi se kya darna. Nabi.e Paak par lakhon durood aur lakhon salaam. Babajaan ek beshqeemti nemat aapne hum sabko tohfe main diya hai. Allaah Huzoor.E Paak ke saqqe main hum sabki duain qubool farmaai.

0 0 Reply
Bisma Mirza 23 August 2015

SubhanAllah Great one..........10 on 10

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success