Namankaran Poem by ANJALI KAKATI

Namankaran

Rating: 0.5

Gumnam se is rishtey ka
Koi nam rakha jaye
Ho kar bhi jo hai nahi
Is aahsase khas ko
Koi takht diya jaye.

Nadiyo ke milne ko
Kahte hai sangam
Sapno ke Milan ko Bhi
koi nam diya jaye.
Ho kar bhi jo hai nahi
Is aahsase khas ko
Koi takht diya jaye.

Khuli aakho se dekhe
To kahlaye vastav
Bandh aakho se dekhe
To kahlaye khabb
Khuli aakho se dekhe
Khabbo ka bhi
Koi nam diya jaaye
Ho kar bhi jo hai nahi
Is aahsase khas ko
Koi takht diya jaye.

Kuch gaam aakho ko rulaye
Kuch dil ko dahlaye
Kuch rooho ko hilaye
Jo gam dukhakar bhi bhaye
Un gamo ka aalag kuch
Koi nam rakha jaye
Ho kar bhi jo hai nahi
Is aahsase khas ko
Koi takht diya jaye.

Tan ke Milan
Aur man ke Milan
Ke to hai laakho nam
Rooho ke Milan ka bhi chalo
Koi nam rakha jaye
Ho kar bhi jo hai nahi
Is aahsase khas ko
Koi takht diya jaye.

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success