Nazarain (Hindi) Poem by swaroop choppalli

Nazarain (Hindi)



Ye to nazariya hai aapka jo aapne hume nazarandaz nahi kiya,
Hukum to kiya hota eak baar yee gulam nazar hi na aata dobara,
Nazar rakhne wale to kayee hai iss mahafil main,
Lakin nazar churane wala koi nahi iss showakil main.

Bhaoot chaahkar bhe hum unn nazaro ko chura na sake,
Aab iss kadar vakath beeta ke hum unn nazaroo se he nazar churane lage,
Pochta hoo unn nazaroo se jo kabhi thaki nahi inn nazaroo ko dhoondte,
Aab kya huva ke inn nazaroo se hi nazar churane lage? ?

Kabhi deakhi na the vo masoom se nazar jispe ye dil aaya,
Soocha na tha ke vahi nazarain inn nazaroo ko Oss denghi,
dil bekhar gaya lakhoo boondo main, zab inn nazaroo ne ruksak kiya unn nazaroo ko.
nazarain churate deakha, nazarain chupate deakha, nazarain uthate deakha
nazarain gerate deakha, deakha Inn nazaroo ne Vo sari nazarain,
jinke na hone par yee bane be-saharee nazarain.

Aab to koi shikhava nahi Unn nazaroo se,
Kuanki bassee hai vo nazarain aab Inn nazaroo main,
Aab to bas yeahee duva hai Inn nazaroo ki,
Ke Unn nazaroo ko kise ki nazar na lage.

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success