Neo-Classic Tasweer/Hindi/Urdu Poem by Aftab Alam

Neo-Classic Tasweer/Hindi/Urdu

Rating: 5.0

Ummidon ke charkha se ab to kuchh bun,
Duniya ki chhod ab apne man ki bhi sun,

Khwaab dekhne wale khwaab bech gaye,
Khwaab khridne waalon ke khwaab gaye,

Unki khwaab to unke khwaabgaah me hai,
Aur khridne walon ke, qabr gaah me hai,

Ham sab zamure hai, wo tamashabeen huye,
Shabdon ke dor se ham kaise qaid huye

Ye ek din ka darakht nahi hai, jo ghanaa hai,
Muddaten lagi hain tabhi to ye ped bana hai,

Jo jag jaataa hai wo auro ko kyon sulaata hai,
Shabd jagaane ke magar wo to lori sunaataa hai

Thaki ummeden, khaali pet, fati taqdeer hai,
Yahi aaj pure vishv ki neo-classic tasweer hai

Sunday, February 1, 2015
Topic(s) of this poem: poem
COMMENTS OF THE POEM
Geetha Jayakumar 01 February 2015

Beautiful poem with fantastic lines.....Very true said in few lines.... Thaki ummeden, khaali pet, fati taqdeer hai, Yahi aaj pure vishv ki neo-classic tasweer hai Loved reading it. Thanks for sharing.

0 0 Reply
Aftab Alam Khursheed 01 February 2015

Poverty is the best picture of this earth we are painting to win and walking on the path of -sin

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success