New Year Poem In Hindi By Deepak Kumar Deep Poem by Deepak Kumar deep

New Year Poem In Hindi By Deepak Kumar Deep

Aman chain ki pawan chale aur
Dharti par khushihali aaye
Khila rahe yun har ek gulshan
Kali koi na murjha paye.

Shans len saken sabhi chain ki
Gamon ke badal na mandrayen
abhishap bane na karm hamara
Chhod paap ko punya kamayen.

milkar rahenge hum sab sare
pal! chahe jaisa bhi aaye
Ghreena vair aur Nafrat taj ke
Hriday me bhi prem basayen.

Sath na jana kuch bhi yaron
Mahal ho jitna aalishan
sada raha na koi yahan par
rank ho chahe ya sultan.

Maut to hai ek kadwi goli
jo sabhi ko khani padti hai
lagta suna sara jahan fir
kyon vyarth me jhagda karti hai.

apne ban jate hain begane
Jinhe bhi apna kahte hain
bhul ke gum wo maut ka tere
giddha, bhangdha karte hain.

naye saal me nayi umang ho
na tangdily badhaali aaye
Bhare rahen bhandare sabke
Sabhi diwali eid manayen.

Na ho koi aatanki hamla
apne hon ya hon begane
chaman na uzade kisi ke ghar ka
gayen khushi ke sabhi tarane.

Tajke dooree dilon se apne
manavta ka farz nibhayen.
'deep'bhulakar bhed bhav ko
Sabhi ko apne gale lagayen.
HAPPY NEW YEAR-2012

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success