Nighaaien Poem by Shrini Deewana

Nighaaien

Itni tum Nigahon ke baatein to karti ho,
Par kya kabhi un Nigahon ka socha hai tumne,
Jo Nigahen raaste mein raah dekhte hai tumahari,
Kya kabhi un Nigahon ke pareshaniyon ki bhi socha hai.

Nigahen churana bahut hi aasaan hi dilruba,
Nigahen milane ko hai zarurat himmat ki,
Jo Nigahein raah dekhta hi rehata ho kisika,
Uski Nighahon ki aasoon ko kabhi dekha hai tumne.

Nigahen num si ho jaati hai intezaar karte karte,
Kya kabhi un Nigahon ka dard mehsoos kiya hai tumne,
Meri Nigahen to bas karte hi rehati hai intezar tumahari,
Kab tak yeh Nigahen intezaar mein lagi rahe keh do zara.

Dard hoti hai in nigahon mein intezaar karte karte,
Is dard ka kya hai ilaaz yeh bhi to humein keh do zara,
Darr raha hoon kahin aasoon ki jagah khoon na behane lage in Nigahon se,
Tumahara raasta dekh dekh kar ab thak gayee hain Nigahein meri.

Shrini 'Deewana'

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success