Nostalgia Poem by ANJALI KAKATI

Nostalgia

Rating: 0.5

Yo hi,
Kabhi udhedte hai
To
Kabhi bunte hai
Tamam salaiyo me aatki se
Aapni jindagi ke tar.

Khuli aakho se,
Dekhte hai,
Kabhi bante
Kabhi bigardte
Na jane,
Kitne- kitne khawab.

Kabke beete lamho me,
Khojte hai
Aab bhi,
Aapna aastitav,
Aapni pahchan.

Gujrate ja rahe hai sadiya
Raat me subah ka
Aur
Subah se he raat ka
Yo,
Becheni se karte intejar.

Uljhi se
In taro ko,
Kabhi jodte hai
To
Kabhi todte hai
Ye aandekhe
Ye aanjane se
Bebas tare
Jo,
Ab tak bandhe huai hai
Meeri aatman ko
Tumhari aatma ke saath.

Yo hi,
Kabhi udhedte hai
To
Kabhi bunte hai
Tamam salaiyo me aatki se
Aapni jindgi ke tar.

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success