Panchi Agar Mai Hota To (Hindi/Urdu) Poem by Aftab Alam

Panchi Agar Mai Hota To (Hindi/Urdu)

Rating: 5.0


Panchi agar mai hota to
Paas tere aa jaataa
Gar hawaa mai hota to
Teri julfun se Takraataa

Man ki uljhan kya kahiye
Na suljhaye na suljhe
Dilki dhadkan kyaa kahiye
Na samjhaye na samjhe
Ek apahij ban baitha mai
Duri paas liye
Ek qadam mai chal nahin pata
Man kyon daud hai jaataa
Panchi agar mai hota to
Paas tere aa jaataa...

Khawaabon me tujh se milna chahun
Phir bhi mil nahi pata
Ankhen khole dekh rahaa hun
Phir bhi chhu nahi paataa
Ek madari ban baitha mai
Yaden paas liye
Yaad aaye jab koi apnaa
Man kyon bol hai jataa
Panchi agar mai hota to
Paas tere aa jaataa.....

Saturday, October 5, 2013
Topic(s) of this poem: love and pain
COMMENTS OF THE POEM
Pardaz Aftab 06 November 2013

nice poem_____________.

0 1 Reply
Tirupathi Chandrupatla 06 October 2013

Ek qadam mai chal nahin pata Man kyon daud hai jaataa I cannot take a step but my thoughts keep running fast. Beautifully expressed the feeling to be a bird. I also read your English version. Thank you.

0 1 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success