Pani Ki Mahima Poem by shrenik shingi

Pani Ki Mahima

door vastra ki kare gandagi,
bhojan saras banaaye,
akulaahat ko door bhagaakar,
jhatpat pyaas bujhaaye.

de pedon ko nayi taazagi,
jeewon ko nav-jeevan,
dharati ko muskaan bantataa,
yeh chaandi, yeh kanchan.

sarita ki pehchaan yahi hai,
meghon ki hai garima,
mukta-kanth se gaate praani,
iss paani ki mahima.

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success