Pata Nahin Kab Aur Kaise Yeh Ho Gaya Poem by Shrini Deewana

Pata Nahin Kab Aur Kaise Yeh Ho Gaya

Pata nahin kab aur kaise yeh ho gaya,
Kisi anjaane se humein ishq ho gaya
Socha hi nahin tha ishq ke samandar mein doobenge hum kabhi,
Lekin kal tak jo dil tha hamara woh aaj kisi ka ho gaya,
Pata nahin kab aur kaise yeh ho yeh gaya..

Pata nahin kab aur kaise yeh ho gaya,
Zindagi to kal tak chal rahi thi apne hi raahon mein,
Ek woh aaya mere jeevan mein aur raah mera kho gaya,
Na jaane aise kya jaadu thi uski baaton mein,
Na kuch socha na samjha aur mein uska “Deewana” ho gaya,
Pata nahin kab aur kaise yeh ho gaya.

Pata nahin kab aur kaise yeh ho gaya,
Jo bharosa jataya tha usne mujhpar,
Us bharose par hi dil mera lut gaya,
Kal tak jo saansein thi mere khud ki,
Aaj woh saansein bhi uska ho gaya,
Pata nahin kab aur kaise yeh ho gaya.

Shrini 'Deewana'

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success