Phir Khawab Koi Dekhoon Poem by Bano Ali

Phir Khawab Koi Dekhoon

Rating: 5.0


Phir neend mujhe aaye agar phir khawab koi dekhoon,
Main tumme aaj ki shab phir se koi bat nai dekhoon.
Tum mujhko soch rahe ho ge aur neend na aaye ho gi,
Tum mujhko dhoondh rahe ho ge main khawab yehi dekhoon,
Yeh rat na yunhi guzar jaey koi aaj achanak aa jaey,
Is rat ko apne khawabon mein dulhan si saji dekhoon
Ek sal to hone aaya hay keyun chutti tumko milti nahin,
Pardes pe afat aaye koi main tumko abhi dekhoon.
Tum aaj agar na aye yehan main khudhi chali aaoon gi wuhan,
Tum sooraj ban kar aa jao aur rat kati dekhoon.

Saturday, November 15, 2014
Topic(s) of this poem: waiting
COMMENTS OF THE POEM
Yasmin Khan 24 December 2014

Boht suhana khwab hy Akhri satr to kamal hy!

0 0 Reply
Salini Nair 18 November 2014

beautiful....i feel it.....

1 0 Reply
Akhtar Jawad 15 November 2014

A beautiful ghazal. Circumstances force to work abroad and family having no alternate lives without head of the family. A painful truth.

1 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success