kisi tabeer ki khahish main yeh jeewan gaNwaatay hain
agar ik khaab daykha hy to qeemat bhi chukaatay hain
hamaray is safar ka jaanay ab anjaam kaysa ho
keh jo bhatky huay hain woh humain rusta batatay hain
ana, shikway, shikayat, roothna, naraz ho jana
tumhain to yad ho ga hum yeh sab kuch bhool jaatay hain
humain bhi chaahiay sahib koi khil_at, koi mansab
mahaz e jang sy hum bhi to bas nakaam aatay hain
hamaray paaon main rasta nahin bas bay qaraari hy
agar bhutkain bhi to us ki taraf hi laut jaatay hain
razi hum ko khushi koi kabhi poori nahin milti
yeh aankhain bheeg jati hain agar hum muskraaty hain
This poem has not been translated into any other language yet.
I would like to translate this poem