Raasta Tha Alag Poem by raziuddin razi

Raasta Tha Alag

bus yehi soch kar hua tha alag
tera mujh sy jo raasta tha alag

jab woh pehli dafa mila tha mujhay
ayn usi waqt ho raha tha alag

us ka chehra tha meri aankhon main
aur meray dill main woh basa tha alag

log to khush thay mutmain thay boht
per mera dukh main sochta tha alag

hijr ki neend to suhaani thee
bus main sotay main jaagta tha alag

shehr taameer karnay waalon nay
is ko mismaar kar dia tha alag

ji utha tha tumhari chaahat main
aur yaqeenan main mer chuka tha alag

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success