Remote Control Poem by ramesh rai

Remote Control

Ek baar ek byakti tha mara para
main ne kaha - utho
wah uth khada huEa
maine kaha - kuchh kaho
usne kaha - kya kahun
meri atma aaj mere paas nahi
maine apna astitwa kho diya
aaj main bejubaan hun
itna kah wah phir so gaya

phir maine saamne se jaate huye byakti se puchha
usne jawab diye begair chala gaya
phir maine dusre, tisre, chauthe
har jaane wale byakti se puchha

thodi der main sochta raha
phir ek budhe bhikhari ko jaate dekha
wah ab marne wala tha
tab marne wala tha
wah jivan mrityu ke dwand mein phansa tha

wah thaka hara mere paas aaya
kaha -
babu! ek rupaya doge
maine jeb tatola
phuti kaudi bhi n mili


bhikhari ne kaha -
babu! main dekh raha hun kab se
tum sabse ek hi sawal puchhte ho
yeh aadmi jinda hai ya mara
bastutah
yeh aadami jiwit hai
lekin abhi wah so raha hai
aur bhi jitne tum dekhte ho
sabhi haad mansh ka
nirmit ek yantra hain

inka remote control kisi aur ke haath nahi
tabhi to ye sab
tumhare ek prashn ka jawab nahi dete

phir bhikhari ne kaha
shukra hai uper wale ka
ham tino ka remote
hamare hi haanth mein hai

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success