Roshni Se Shabein Churati Hon Poem by Farzana akhtar

Roshni Se Shabein Churati Hon

Roshni se shabein curaati hon
Roz dukh ke diye bujhatee hon

Chaand chahat ke likhti rehti hon
Khwahishein lafz se banatee hon

Paoon dharti se kheinch leti hon
Taarey aakash se bulati hon

Ishq hai shikwa-sanj waisey bhi
Mein kahan tumko aazmati hon

Paaglon ki tarah nein rotee
Khul ke aansoo magar bahati hon

Baat reh jatee hai adhoree si
Us ke lehjey mein doob jatee hon

Dheere dheere utartee hain yaadein
Dheere dheere makaan sajatee hon

Gehree gehree si kaali aankhon mein
Ujley sapnon ko mein chupatee hon

Jaagney wale chaand ko naina
Door se loriyaan sunatee hon

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success