Ruksat E Ali Akbar (As) Poem by farhat zaidi

Ruksat E Ali Akbar (As)

Shabeh ko nana ke rukhsat jo karaya shahy nay
Barrha alveeda kahh kahh ke bolaya shahy nay

Yeahi halat hai tou pher baba mai kesay jaoun
Pocha akbar nay jjo ek barr bolaya shahy nay

Tera hota koi akbar tou samajhta mera gaam
Kah kay seenay se kaee barr lagaya shahy nay

Dakhtay rah gae hassrat se shahy akbar ko
Dil tha faryadi magar pher na bolaya shahy nay

Dorrtay jatay thay shahy ghoray ke pechay pechay
Routhi himatt ko kaee barr manaya shahy nay

Paoun rakhtay thay kahen orr kahen parta tha
Haey akbar se na nazroun ko hataya shahy nay

Dorrtay thay kabhi shahy khaak pay girr jatay thay
Har kadam ya ALI kah kah ke outhaya shahy nay

Cont
Ho gaya ankhoun se oujhel tou meray laal kahan
De sada betay ko jjab chain na paya shahy nay

Kohneeyoun se kabhi zanoo ba zanoo chalay shah
Door tak betay ko maidan may na paya shahy nay

Darr hain band ankhoun kay akbar pay gashi tari hai
Jan balab peyaas say akbar ko bolaya shahy nay

Dakeha ek barche ka phall senay may payvasta hai
Ayrhyaan khaak pay gasstay howe paya shahy nay

Raeesh tarr ho gae khoon e ali akbar se
Seenay se betay kay jjab hath outhaya shahy nay

Gir gaya khak pay chakraa ke ALLAHA ka khaleel
Aasteno ko jo kutay ke paltaya shahy nay

Barchi nekli pr ali akbar ka kaleeja lay kar
Ya ali kah kay jo barchi ko outhaya shahy nay

Mujjh ko rah rah kay khayal atta hai hashim kayse
Zendagi bharr ke kamaee ko lotaya shahy nay

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success