Saal-E-Nau New Year Poem by Mohammad Akmal Nazir

Saal-E-Nau New Year

Phir uthi hai ek ghataa-e-aarzoo,
Wasl ka badal baras jaane ko hai,
Ek sukoot-e-bekaraan ke baad ab,
Gulsitan ka raaz khul jaane ko hai,
Phir tamannaaon ke gulshan ki kali,
Khushnuma ek phool ban jaane ko hai,
Raah ki dushwaariyan mit jaayengi,
Ek muqaam-e-pur fiza aane ko hai,
Maut ke pahlu mein koi aarzoo,
Phir muraad-e-zindagi paane ko hai,
Kaarwaan-e-rahrawaan-e-shauq phir,
Apni manzil tak pahunch jaane ko hai,
Chalne waali hai hawaa-e-purnishat,
Jaur ka mausam badal jaane ko hai,
Phir uroos-e-hind ki afshaan mein aaj
Ulfaton ka rang bhar jaane ko hai,
Kyon na pur ummeed ho 'Akmal' ki ab,
Phir bahaare-saale nau aane ko hai.

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Mohammad Akmal Nazir

Mohammad Akmal Nazir

Bahraich, U.P. India
Close
Error Success