Salam-E-Muhabbat Poem by Bano Ali

Salam-E-Muhabbat

Rating: 5.0

Yeh jo shauq-e-jang-o-jadal hay,
Ye junoon hay, yeh junoon hay,
Meri bhai isse tu door rah,
Yeh zawal-e-ilm-o-funoon hay,

Yeh naye zamane ki jang hay,
Ke fatah bhi ismein shikast hay,
Yeh tabahiyon ka hay rasta,
Yeh nasha hay jismein to mast hay,

Jo nashe ka itna hi shauq hay,
To muhabbaton ka ye jam hay,
Kabhi isko pee ke bahek zara,
Yehi tere rub ka payam hay,

Wuh jo utra ek kalam hay,
Jise ta abad bhi dawam hay,
Wuh muhabbaton hi ke nam hay,
Yeh payam hay, yeh salam hay.

Yeh salam-e-ishq bhi kar zara,
Zara yar ko bhi to aazma,
Ke jawab uska bhi aayega,
Zara hausla, zara hausla.

Wednesday, April 1, 2015
Topic(s) of this poem: war
COMMENTS OF THE POEM

Beautifully done poem in Urdu Bano Col Muhammad Khalid Khan

0 0 Reply
Kumarmani Mahakul 13 May 2015

Very nicely envisioned and presented. A beautiful poem I like most. Many thanks dear madam, keep on writing.

0 0 Reply
Akhtar Jawad 01 April 2015

A great message, a lovely poem.......................10

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success