Samay Poem by Akhtar Jawad

Samay

Rating: 5.0

Boondien boondien banker mujhper
peyar barasta jaye,
uska peyar barasta jaye,
samay guzarta jaye.
Her boond pe ro ro kahoon samay se,
kutch der ko wuh ruk jaye,
papi tujhse kab yeh kaha,
too laut ke wapas aaye.
Preet hamari sagar hay,
jitni chahe chura leja,
chand to ghatta badhta hay,
per sagar ghat na paye.
abbhi apni preet ka sagar,
chand se nain milaye,
phoolon se rang churaye,
taron ki tarah muskaye,
shabnam ki nami se dhulkar yeh,
khushboo se mil jaye,
itna vishal auor iska jadoo,
jab chahe simat kar phool ki komal
bahon mein mein chup jaye
auor tu dhoondh na paye.
Per samay se keya takraoon main
isse koi jeet na paye,
sagar shor machae
auor smay guzarta jaye
aa dekh le iske dharon ko,
jab chand pe joban aaye.
Abbhi ismein jalparian hayn,
abbhi nadia bahti hay jo,
chpke chupke aati hay,
aur sagar se mil jati hay,
use thoda auor bhi bahne de,
jal pariyon ko jeevit rahne de,
acha tu ruk sakta nahin to,
dheere dheere chal,
per samay ne kiski mani hay,
samay kabhi bhi rukta nahin,
aiy nadia zara jaldi karna,
poonam ka chand chamakta hay,
sagar machla machla hay,
mausam bahka bahka hay,
rat abhi bhi baqi hay,
aaj bahak le phir ek bar,
isse pehle ke chor samay,
bachi khuchi poonji ko apni,
cheene auor le jaye,
samay nahin ruk sakta hay,
samay guzarta jaye!

Wednesday, January 27, 2016
Topic(s) of this poem: time
COMMENTS OF THE POEM
Mithilesh Yadav 28 January 2016

Wow sirji...... It seemed that pen was alcoholic......... Mein to pita nhi meri kalam manti nhi...... Mein to jita nhi meri kalam Marti nhi........ Mere aansu sukh gye meri kalam roti nhi..... Kaisey bayan krun sath mera aur meri kalam ka..... Mera samay nikal gaya Sara, meri kalam ki saam bhi hoti nhi... - - - My tribute to your pen sir

0 0 Reply
Abhilasha Bhatt 27 January 2016

A beautiful poem....loved it.....thank you for sharing :)

0 0 Reply
Khalid Saifullah 27 January 2016

A touching poem on cruelty of time, very impressive.

0 0 Reply
Souren Mondal 27 January 2016

[...]aaj bahak le phir ek bar, isse pehle ke chor samay, bachi khuchi poonji ko apni, cheene auor le jaye, [...] Carpe diem in poetic best! Urdu labzon ki baat hi kuch aur hoti hai Akhtar ji. Iss kavita to par ke laga jaise ke maikhane me baithe hue hai hum, aur har ek shabd dil ko chu ti gaayi. Bohoot, bohoot sukhriya isse humse baat ne ke liye.

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success