Sambhavy Aur Kautuhal Poem by ramesh rai

Sambhavy Aur Kautuhal

Kitna sambhavya hai
Kitna hai kautuhal
Jab hoti hai
Nayee chetna ka avtaran.

Kitna sambhavya hai
Kitna hai kautuhal
Jab garbha ke beez ko mile
Chetna ka avaran.

Kitna sambhavya hai
Kitna hai kautuhal
Jab prakriti prafullit hoti hai
Jaise mili ho yaun

Kitna sambhavya hai
Kitna hai kautuhal
Jab prayasi ke urojo me
Bhan kiya nav yaun ko

Kitna sambhavya hai
Kitna hai kautuhal
Jab phoolo me snan kiya
Suraj ke nayee kirano SE
Jaise ratri ke abhisar SE mukta
Yuvati me shringar kiya.

Kitna sambhavya hai
Kitna hai kautuhal
Jab jivan mein patjhad aate hain
Phir anant mein vileen ho jate hai

Sunday, August 16, 2015
Topic(s) of this poem: spiritual
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success