Self Composed Verses(Hindi) Poem by Abhishek Tiwari

Self Composed Verses(Hindi)

Rating: 5.0


1) Ye falsafa hai humari shiddat ka....
ya...
Takaza hai waqt ki suiyyon ka...
Aap hoti hain to ye theherta nahi..
Apki yaad hoti hai to kambaqt badhta nahi...


2) Aaj maine unhe apna khat padhte dekha...
Unki ankhon me apna halka sa nasha chadhte dekha..
Wo sharma k haya me chup jana chahte they...
Is khamoshi me unhe khudse ladte dekha..
Aaj unhe humne mera khat padhte dekha...


3) Zhuki nazar wo rehmatein ata kar gayi..
Jo tammanaa zamane se nazar milne par adhoori reh gayi...


4) Ankhon ki haya ko jab... Teri zulf ki lataa tere chehre me chupati hai...
Mat poochiye..
Ki khoobsoorti kaun si kayamat lati hai..


5) Apke hone na hone se sirf ek farq padta hai janib...
Aap hoti hain to '' hum'' hotey hain...
Aap nahi hoti to ''gum' 'hotey hain...


6) Har ek pal me shareeq kai sadiyaan hoti hain..
Jab intezaar me bichi sooni ankhiyan hoti hain..

Thursday, June 19, 2014
Topic(s) of this poem: love
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
Few lines expressing my feelings
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success