Sharab.. (In Hindi) Poem by SINGH SINGH

Sharab.. (In Hindi)

Rating: 5.0


Yun to mein peeta nai hun,
Par iska matlab yeh to nai ki mein jeeta nai hun….
Jennae k mere alag mainae hai,
Kyonki har taraf mere aainae hai,

Har aaina mujhe kuch yaad dilata hai,
Aur jeenae ka maksad dikhata hai.
Shayad issiliye mein pitta nai hun,
Aur logo k hisab se jeeta nai hun.

Aakhir log pee k kyu jeete hai,
Taaki khud se apni pehchaan chupa sake,
Ya fir apni galtiyon ka jaam bna sake?

Iss sawaal k mainae, shayad tabhi samajh paunga,
Jab apne hoton pe jaam lagunga.

Kmbakth jaam mein bhi aaina hi dikhta hai,
Jiska apna hi maksad hota hai.
Shayad issiliye mein pitta nai hun,
Aur log kehte hai ki mein jeeta nai hun.

Waise to logo k kehne se mujhe koi fark nai padta,
Kyonki unka nazariya mein samajh nai sakta.

Vo to kehte hai ki, peene k baad hi,
aainae sachai saamne laate hai,
kyonki dil mein chupe saare raaz lafwz bann k zubaan pe aate hai..

Vo apni iss bewvakoofi ko himmat bayaan karte hai,
unhe kya pta ki, yeh lafz kispe aur kaha vaar karte hai.
Inn lafzo k karan hi aainae toot jate hai,
Aur mere nadaan dost jeene ka maksad bhul jate hai.

Mein har waqt unn aaino mein ghira rehta hun,
Aur sach kahu, to unke tootne se darta hun.
Issi liye mein peeta nai hun,
Lekin iska matlab yeh to nai, ki mein jeeta nahi hun.

COMMENTS OF THE POEM
Rajnish Manga 12 February 2018

Vo apni iss bewvakoofi ko himmat bayaan karte hai, unhe kya pta ki, yeh lafz kispe aur kaha vaar karte hai. Inn lafzo k karan hi aainae toot jate hai, Aur mere nadaan dost jeene ka maksad bhul jate hai.... //.... एक बेहद खुबसूरत रचना जो पाठक को सोचने के लिए मजबूर करती है.

0 0 Reply
M Asim Nehal 21 December 2015

Bahut badhiya kavita hai...10+++

1 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
SINGH SINGH

SINGH SINGH

INDIA (Kanpur)
Close
Error Success