Sharad Purnima - Iv Poem by ramesh rai

Sharad Purnima - Iv

Sharad purnima ki raat mein
jab chandrama apni chandani bikher raha thaa
prakriti ki nistabhdhta mein koyee ramanee
solah sringar se bibhusit
madhu malati bikherati huyee
mand sangeet ki dhwani mei
kuchh gungunati huyee, ek ek prahar bankar
samay ki gati se aage badh rahi thee

har kali har pushpa uske meethe geeton ko
apne hriday mein tanmyata se sanjoye jaa rahe the
ye to wahi geet honge
jo surya ki pratham kiran ko chhoo kar
punah aalapit honge
bhoren bhi uske swadan k liye madrana suru karenge
phir jeevan ka sanchaar hoga.

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success